Ya Ali Madad Mukhi Sahb; Kamadiani Maa; and All Others
Merry Christmas to All of You.
Just completed; sending you unedited. just read it and do let me know; if you find any correction or mistake. I will be happy to make correction as advised by you.
Thank you for your support.
Amir
Bata; tujey aur kiya chahiyeh
Na mjey teri du'a chahiyeh
Na mujey teri dawa chaiyeh
Mein tar(d)p raha Hoo(n) dekhney tujey
Mujey to sirf tera deedar chahiyeh
Mein puri koshish kar-raha hoo(n) apni
Ebadat say pohcney-key tuj tak
Deir lug-rahee oos-mein na janey kyoo(n)
Mujey thora sa aur waqt chahiyeh
Fiker na ker waqt hay tere pass bohat
Kutch tu apney aamal ko bhee dekh
Mujey oos-mein kutch daag nazar aa-raha hey
Oos-kay liye tujey kootch karna chahiyeh
Kar-raha hoo(n) mein apni puri koshish
Chala aa-ta hoo(n) es-liye mein tere pass
Ahista ahista dhundh saaf ho-rahi hay
Es-kay liye mujey teri rehmat chahiyeh
Laga rayey apni koshish mein tu yak-su ho-ker
Eik kay baad eik khir(d)ki khulti jay-e-gee
bura-en-yaan peechey; aur tu aagey barhta jaye-ga
Aur jub tujey Noor key eik jhalak nazar aaye-gee
To tu sur-ba-sujood ho jaye-ga mere huzur
Keh oothey gaa tu mujey ab aur kutch nahin chahiyeh
Dekha tuney tere haath mein thaa sub-kutch
Keh-raha thaa sub-say; mujey yeh chahiyeh; mujey woh chahiyey
Ab tere la-bon per mein
Pur-sookun muskarahat dekh raha hoon
Tu qatra hotey-huay Samander say ja-mila
Bata; tujey aur kiya chahiyeh
Am