Ya Ali Madad to you All
Padhramni and Golden Jubilee Mubarak.
Here is another one from the Golden Jubilee Series of Poetries. I'm still writing and keep posting on the net.
Nacho gao aur khushiya(n) manao
Nacho gao aur khushiya(n) Mana-o
Mowla ke Golden Jubilee mana-o
Kheltey jao aur sochtey jao
Hu(n)stey jao aur aagey ba(d)r-tey jao
Imam ney jo farmaya who kartey jao
Ilm ke shamei(n) jalatey jao
Noor ke roshni phelate jao
Huq ka raasta deekha-tey jao
Zindagi ek khel hey
Hu(n)stey jao aur kheltey jao
Kheltey jao aur sochtey jao
Inkasari say sar-ba-sujud hotey jao
Golden Jubilee ka saal hey
Ismaili sub khus-haal hei(n)
Imam duniya ke liye ek missal hey
Ismaili-o kay liye Mowla ruhani dhal hey
Pyar aur mohabbat say phele-ga yeh pouda
Phul lage(n)gey meethe aur aur shehad hoga ziyada
Aga Khan Foundation mei(n) meethe phul lagney lage hei(n)
Duniya waley ab yeh baat samaj-ney lage hei(n)
Nacho gao aur khusia(n) mana-o
Golden Jubilee ke roshni phela-o
Khood bhee amal karo; doosro(n) ko bhee samja-o
Imam ke du’a hey samja-tey jao aur aagey ba(d)rhtey jao
Amir Samji
We take this opportunity to thank you all for your generous support and prayers.
Amir Samji and family