Shan e Ali and Ahl e Bait in poetry.

Discussion on Devotional lit.
swamidada_2
Posts: 297
Joined: Mon Aug 19, 2019 8:18 pm

Post by swamidada_2 »

YA ALI JUGG MEY SAACHO TERO NAAM
TU HI MATA TU HI PITA TU HI DIN DAYAAL
TU ANTAR YAAMI SUBB KA SWAMI
TEREY CHARNU MEI(N) PRITHVI AAKASH

SWAMI
swamidada_2
Posts: 297
Joined: Mon Aug 19, 2019 8:18 pm

Post by swamidada_2 »

ALI DA MALANG

A Beautiful Poem Dedicated To Mowla Ali. Written By Saint Sakhi Lal Shahbaaz Qalandar, Usman Marwandi.

(Persian)
Jam Mehr Ali Za Dar Dastam
Baad Az Jam Khro Am Mastam
Kamar Under Qalandari Bastam
Az Dil Pak Haideri Hastam
Haideriam Qalandaram Mastam
Banda e Murtaza Ali Hastam

(Urdu translation)
Mainay Mohabat e Ali Ka Jam Peya Hay
Jam e Aqal Kay Bad Is Nashay Main Mast Hon
Mainay Qalandar Honay Per Kamar Kas Li Hay
Main Dilo Jan Say Haideri Hon
Main Haideri Qalandari Hon
Main Ali Murtaza Ka Ghulam Hon

(English translation)
I Have Drunk Honing Of Love Of Imam Ali
And After Drinking That I Am Full Deep Inside It
I Am Proud To Be Qalander
I Am Haideri From Deep Inside My Heart And My Body
I Am Haideri Qalander
I Am a Slave Of Imam ALi

(Persian)
Ancha Dar Wasf Murtaza Guftam
Baz Kol e Mustafa Guftam
Harf Haq Ast Barshma Guftam
Sarasar Barmala Guftam
Haideriam

(Urdu translation)
Mainay Jo Kuch Shan e Ali Murtaza Main Kaha Hay
Yeah Apni Taraf Say Nahi Keh Raha
Balkay Farman e Mustafa Hay
Mainay Jo Kuch Bhi App Say Beyan Keya Hay
Yeh Sarasar Haq Hay
Main Haideri Hon

(English translation)
What Ever I Have Said In Praise Of My Imam Ali
I Am Not The One Saying It
Indeed Rasool Allah (Salalahu Ahlayhi Wa Ahlihi Wa Salam) Said It
Whatever I Have Told You About Imam Ali
It is Totally Truth
I Am Haideri

(Persian)
Murtaza Sheir e Yazdan Hast Ali
Shah Ali Walayat Aan Hast Ali
Hazrat Hassan Hussain Jan Hast Ali
Har Do Alam Key Namoneshan Hast Ali
Haideriam

(Urdu translation)
Ali Murtaza Sheir e Yazdan Hain
Un Ke Welayat Bohot Buland Hay
Hazrat Hassan Hazrat Hussain Maula Ali Kay Dil Kay Tukray Hain
Yeh Dono Shehzaday Apnay Baba Kay Wajood o Baqa Ke Alamat Hain
Main Haideri Hon

(English translation)
Imam Ali Is Sher e Yazdan (Lion of God)
His Walayat Is Of High Stature
Imam Hussain And Hassan Are Part Of The Heart Of Imam Ali
These Two Princes Are Soul Of Imam Ali
I Am Haideri

(Persian)
Sargroh Tamam Renda Nam
Rehbar Ashqan Mastanam
Hadi e Salkan Arfanam
Kay Sagay Kove Sheire Yazdanam
Haideriam

(Urdu translation)
Hazrat Ali Murtaza Mujh Jaisay Ashqon Kay Rahbar Hain
Woh Arfon, Salkon, Pairokaron Kay Hadi o Mula Hain
Meray Leya Baais e Fakhar Hay Kay Main Shair e Yazdan Kay Kochay Ka Aik Kuta Hon
Main Haideri Hon

(English translation)
Imam Ali Is A Guider (Spiritual/Physical) For Lovers Like Me
He Is The Head And Guider For Araf, Salak And Followers Of All Sufiya
It Is An Honour For Me That I Am Merely A Dog In The Pathway Of Imam Ali, I Am Haideri

(Persian)
Mun Braye Adaye Dein Kamar Bastam
Bater Sad Man Ust Dard Sitam
Katil Een Jamie Man Hastam
Boo Halish Bood Mara Khawahish
Har Zaman Ust Zakhanam Agahash
Haideriam Qalandaram Mastam
Banda e Murtaza Ali Hastam

(Urdu translation)
Mujhay Bahesht (Janat) Janay Ki Koi Lalach Nahi Hay
Kionkay Main Usman Mowla Ali Ki Dargha Ka Ghulam Hon
Har Waqat Woh Meri Halat Say Agah Hain
Jab Woh Meray Saath Mojood Hain Tu Mujhay Dar Kis Bat Ka Hay
Main Haideri Qalandari Nasha Wala Main Mast Hon
Main Imam Ali Murtaza Ka Adna Ghulam Hon

(English translation)
I Have Not Any Need For Greed, Nor Am I Greedy For Paradise
Because I Am Slave Of Ali Murtaza
He Knows About My Situation
When He Is With Me I Do No Fear, Why Should I Be Afraid
I Am Deeply Engrossed In The Love Of Haderia Qalanderia Tariqa
I Am A Little Slave In The Pathway Of Imam Ali Ibn Abi Talib
swamidada
Posts: 1614
Joined: Sun Aug 02, 2020 8:59 pm

Post by swamidada »

HAR SU SADAEIY HYDERI
JAANAM FIDAEIY HYDERI
YA ALI ALI ALI ALI ALI

HAI MUHAMMAD DIL MERA TOU SEENA ALI
MEREY JEENEY KA WAHID ZARIYA HAI ALI

DEEN E ISLAM KA NAGINA HAI ALI
HAQQ KI MARIFAT KA KHAZINA ALI

DASHT MEIN ABAR KA PAHLA QATRA ALI
MERA MURSHID MERA AAQA MOWLA ALI

SUBHA WA SHAAM HAR PAHAR HAR GHARI
LUBB PE APNEY RAHEY NAAM MOWLA ALI

HAR SU SADAEIY HYDERI
JAANAM FIDAEIY HYDERI
YA ALI ALI ALI ALI ALI
swamidada
Posts: 1614
Joined: Sun Aug 02, 2020 8:59 pm

Post by swamidada »

TU KUJA WA MON KUJA

Where are YOU and where am I
(You are exalted beyond imagination while I am at a lowest rank)

TU AMIR E HARAM MAIN FAQIR E 'AJAM
TEREY GUN(N) AUR YEH LUBB MAIN TALAB HEE TALAB
TU 'ATTA HEE 'ATTA MAIN KHATA HEE KHATTA
TU KUJA WA MON KUJA

You are the King of Holy sanctuary while I am a destitute foreigner
Your praise and my (sinful) lips, I desire, I am a seeker
You are mercy and benefaction, while I am nothing but a sinner
Where are You and where am I
(you are exalted beyond imagination while I am at a lowest rank)

MERA GHAR KHAAK PER AUR TERI RAHGUZAR
SADRATUL MUNTAHA TU KUJA WA MON KUJA

My dwelling is on dust while your journey
Beyond seven heavens to Sadratul Muntaha. Where are You and where am I

MERI KHUSH QISMATI MAIN TERA UMMATI
TU JAZA MAIN RAZA TU KUJA WA MON KUJA

Indeed it is my fortune that I am your ummati (follower)
You are exalted and mercy reaching you for reward. Where are You and where am I

AANSU(N) KI ZABAAN HO MERI TARJUMAAN
DIL SE NIKLEY SADA TU KUJA WA MON KUJA

Let the language of tears be my words
My heart without suspicion proclaim. Where are You and where am I
(you are exalted beyond imagination while I am at a lowest rank)
swamidada
Posts: 1614
Joined: Sun Aug 02, 2020 8:59 pm

Post by swamidada »

Man Kunto Mawla is a Manqabat composed by Amir Khusro in the praise of Mowla Ali. This song is based on a hadith, i.e. a saying of Prophet Mohammad:
MONKUNTU MOWLA FA HAAZA ALIYUN MOWLA
Whoever accepts me as a master, Ali is his master too

Man Kunto Maula
shaah-e-mardaan
sher-e-yazdaan
quwwat-e-parvardigaar
laa fatah illaa Ali
laa saif illaa zulfiqaar

King of the brave,
lion of God,
[and] strength of God.
There is no one like Ali [and]
there is no sword like Zulfiqaar*.
(Zulfiqaar was the sword of Ali presented to him by Prophet Muhammad).

Ali imaam-e-manasto manam Ghulaam-e-Ali
hazaar jaan-e-giraamii fidaa-e-naam-e-Ali

Ali is my master, I am the slave of Ali
thousands of lives can be sacrificed for the sacred name of Ali.
man kunto maulaa
fa haaza Aliun maulaa

To whom I am the master
Ali is the master.

daaraa dil daaraa dil daar-e-daanii
tum tum taa naa naa naanaa, naanaa naanaa re
yaalaalii yaalaalii yaalaa, yaalaa yaalaa

Dar – Bheetar, Aandar (inside)
Dara – Andar Aa (get in or come inside)
Dartan – Tanke Aandar (inside the body)
Tanandara – Tanke Aandar Aa (Come inside the body)
Tom – Main Tum Hun (I am you)
Nadirdani – Tu Sabse Adhik Janata Hai (You know more than anyone else) Tandardani – Tanke Aandarka Jannewala (One who knows what is inside the body)

Tanan Dar Aa - Enter my body.
O Dani - He knows
Tu Dani - You know.
Na Dir Dani - You are the Complete Wisdom.
Tom - I am yours, I belong to you.
Yala - Ya Ali - Ya Ali.

Ali shaah-e-mardaan imaamun kabiiraa
ke baad az nabi shud bashirun naziira

Ali is the king of the brave and the greatest (in universe)
because after the Prophet, there is Mowla Ali.

(Adopted)
swamidada
Posts: 1614
Joined: Sun Aug 02, 2020 8:59 pm

Re: Shan e Ali and Ahl e Bait in poetry.

Post by swamidada »

HAI CHAADAR E NOOR E HUQQ RAWAEY HYDER
KHURSHEED HAI NAQSH E KAFF E PAAEI HYDER
KAHTEIN HAIN DIKHA KE 'ARSH WA KURSI KO MALAIK
YEH JAAEI MUHAMMAD HAI WOH JAAEI HYDER

MIR ANIS
swamidada
Posts: 1614
Joined: Sun Aug 02, 2020 8:59 pm

Re: Shan e Ali and Ahl e Bait in poetry.

Post by swamidada »

SALWAAT BAR MUHAMMAD DURUD BAR ALI

HAAJAT RAWAAN MUHAMMAD MUSHKAL KUSHA ALI
Post Reply