Na mein wali hoo(n) na mein Aulia

Put your inspiration poems or quotes here...
Post Reply
alisa
Posts: 666
Joined: Mon May 23, 2005 12:02 pm
Location: Glendale, California - USA
Contact:

Na mein wali hoo(n) na mein Aulia

Post by alisa »

Ya Ali Madad Mukhi Saheb; Kamadiani Maa; and All Others

There was nothing to write; so I thought let me send a piece of advice; but it is in poetry form. I was thinking and writing and it turn out to be a good one; therefore I am sending it to you all.

Thank you.
Amir


Na mein wali hoo(n) na mein Aulia

Na mein wali hoo(n) na mein Aulia
Phir bhee tu soo(n) jo mein tujey bolia

Mein jo kehta hoon woh tu ker
Ooth; duniya mein tu bohat so liya

Na tu deen ka raha; na-hi duniya ka
Jo pass tha tu-ney woh bhee kho liya

Do Kashtio(n) mein swar nahin ho-tey kabhi
Kashtiyan aagey; aur tu darya ka ho liya

Khuda ney banai hay duniya ba(d)rey kamal key
Science-dan ho-tey hu-ay tu na-kam ho liya

Es kai-nat ko taskhir kar-sakta nahin koi
Tu apney aa-pay say bahar aa; bohat ho liya

Lakho(n) salo(n) say yeh duniya chal rahi hay
Ka-ey aa-ey; ka-ey chaley gaye; tu souch mein kiya boliya

Talim zaruri hay lay-kin Mazhabi talim kay saath
Verna tu kutch na ker pay-ega; aur tera eman doliya

Khuda nay duniya bana-ee hay eik khas maqsad kay sath
Hum samaj nahin pa-tey; du-kh es baat ka mujey ho riya

Amir
Post Reply