Ya Ali Madad to you All
Life beautiful and it has all ingredients of life in it to live with ethically. So live with ethics and see what you get.
Char deen key zindagi
Tu mera bunda hay; may-ney tujey bheja hay maqsad kay saath
Bula loo(n)ga mei(n) tujey apni marzee say wapis hoga moqa khas
Tu apni inning khel sa(n)bhal ker; doosri inning ka chance nahi(n)
Mei(n) tujey bula-loo(n)ga 49, 99 ya 110 kay score per
Aahista aahista run bana; chokay aur chakay mar-ney key zaruart nahi(n)
Dhiyan say aagay ba(d)r; dekh teri wicket oo(d)r na jaye kahi(n)
Mare farishtey bowling ker rahey hei(n); zara sa(n)bhal ker khel
Nuqsan mei(n) rahey-ga tu; gar kisi ka nikal diya tuney tail
Yeh one day nahi(n); char deeno ka hay khel
Bach-pan mei(n) tujey kutch samj paata nahi(n);
Jawani mei(n) tu kisi key soonta nahi(n)
Bu(d)rha-pay mei(n) tere saath koi hota nahi(n)
Bu(d)rhapa satata hay kay acchey kaam kiye kyoo(n) nahi(n)
Preshani kay aalum mei(n) raat ko tu jagta rahta-hay; sota nahi(n)
Zindagi ka yeh khel kabhi draw hota nahi(n)
Dekh-tey hei(n); Khuda ko tu samjta hay kay nahi(n)
Bus ab thoray over rahey gaye hei(n); run bana-nay key tujey jaldi hay
Ibadat kabhi key nahi(n); bu(d)rha-pay mei(n) chokay; chakay mar sakta nahi(n)
Teri esi jaldi mei(n); shayad tu run out ho jaye na kahi(n)
Aur agar galti say ball miss ho-gayee to tu LBW ho jaye na kahi(n)
Pachta raha hay tu apnay kiye per kay tuj-say run bun-tay nahi(n)
Aur tu jaldi mei(n) hay kay over purey ho jaye na kahi(n)
Touba karkay match jeet sakta hay; lekin tu Nasu hay kay nahi(n)
Touba key “Touba-tun Nasu” key tarah; to fiker key koi baat nahi(n)
Yeh dekh puree ho-gayee teri inning; 99 kay score per
Kiya khoya; kiya paya zindagi mei(n); is-baat per gor ker
Amir