Ya Ali Madad to you All
Padhramni and Golden Jubilee Mubarak
Here is another one poem in praise of Mowla from Golden Jubilee series of poetries.
Aao kare(n) agaz Golden Jubilee ka
Aao kare(n) agaz 50 sala Golden Jubilee ka
Nazrana pesh kare(n) ga-ker geet khushi ka
Aao chal-tey hei(n) 1957 ke saal mei(n)
Hum bohat peechey the mere khyal mei(n)
Na apna ghar tha, na hi apni gar(d)yan
Deen Rat kaam karti thee(n) aurtei(n) bechariya(n)
Imam ney humare mustaqbil ke fiker kee
Aur kee(n) shan-dar tayyaria(n)
Dekho hum kaha(n) the kaha(n) aa-gaye
Dekhtey he dekhtey her shobey mei(n) cha-gaye
Aaj bagair zameen ke mulk ke malik hei(n) hum
Mowla Shenshah aur ooskey ruhani balik hei(n) hum
Aaj puch-tey hey Dunya Imam say
Kiya aap-ney yeh kaam kai-say
Kisey batai(n) kisi-ko; hum-ney nahi(n) kiya kutch bhee
Hum khood-bhe jan-na chah-tey hei(n) aur hey tajassus bhee
Amir Samji
Hope; you all like it. May Mowla bless you - Aameen.
Amir Samji and family
Aao kare(n) agaz Golden Jubilee ka
-
- Posts: 24
- Joined: Tue Apr 08, 2008 12:43 am